Blanket of love

Yaadon ki ye chadar

Hai farz jo bhi mujh par,
sab adaa kar raha hoon...


Maaf kare khuda mujhko,
agar koi khata kar raha hoon...

Kab tak lapetey rakhoon mai khudse,
uski yaadon ki ye chadar...

Hai Barsaat ka ye mausam
inhe baarish ke hawale kar raha hoon...

Yun to rakha tha wastey uskey har 
zakhm ko hara maine....

Tajdar.. haar ke mai ab khud hi 
marham kar raha hoon..



Comments